hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (4 votes, average: 2.5 out of 5)
Loading ... Loading ...
989 Views

hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai
usii meN vaqt kaa saaraa hisaab likhaa hai

(baab : chapter; hisaab : calculation)

kuch aur kaam to ham se na ho sakaa lekin
tumhaare hijr kaa ek ek azaab likhaa hai

(hijr : separation; azaab : punishment)

suluuk nishtaroN jaisaa na keejiye ham se
hameshaa aap ko ham ne gulaab likhaa hai

(nishtar : dagger; gulaab : rose)

tere vajuud ko mahsuus umr bhar hogaa
tere laboN pe jo ham ne javaab likhaa hai

(vajuud : existence; mahsuus : felt; javaab : answer)

hu’aa fasaad to us meN nahiiN kisii kaa qusuur
havaa-e-shah’r ne mausam Kharaab likhaa hai

(fasaad : riot; qusuur : fault; havaa : wind; shah’r : city)

agar yaqiiN nahiiN to uThaaiye taariiKh
hamaaraa naam basad aab-o-taab likhaa hai

(basad : with; aab-o-taab : splendour)

Manzar Bhopali

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai
  • ek musalsal azaab le jaanaa
  • bahaar aa’ii
  • haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai
  • hamaare shauq kii ye intehaa thii
  • Leave a Reply


    allofmp3.com mp3 download